
Get the latest entertainment news, reviews, interviews, photos and video from the world of Bollywood, Hollywood, and TV on This Blog.
Thursday, July 30, 2009
Wednesday, July 29, 2009
Ajab Pagal Si Larki hai.....
Ajab Pagal si Larki hai....
Ajab Pagal si larki hai,
Mujhe har khat main likhti hai,
Mujhe tum yaad kartay ho???
Tumhain main yaad
ati hoon?
Meri batain satati hain??
Meri nindain jagati hain??
Meri ankhain rulati hain??
December ki sunheri dhop main ab bhi teheltay ho?
Kisi Khamosh rastay say koi awaz ati hain??
Sard raton main tm ab bhi chat pay jatay ho?
Falak kay sabz sitaron ko meri batain sunatay ho?
Kitaboon say tumhary ishq main koi kami ayi?
Ajab pagal si larki hai...
Mujhe har khat main likhti hai,
Jawaban us ko likhta hon,
Meri masrofiyat dekho subha say shaam office main,
Charagh-e-umar jalta hai,
Phir us k baad duniya ki kai majborian paon
main bairi dal rakhti hain,
Mujhe bayfikar chahat say bharay sapnay nahi dikhtay,
Tehalnay jagnay ronay ki muhlat hi nahi milti,
Sitaron say milay arsa hua naraz hon shayad,
Kitaboon say shagaf mera abhi waisay hi qaim hai,
Farq itna para hai ab unhain arsay main parhta hoon,
Tumhain kis nay kaha pagli tumhain main yaad karta hon..
Kay main khud ko bhulanay ki musalsal justajo main ho,
Tumhain na yaad anay ki musalsal justajo main ho,
Magar yeh justajo meri buhat nakam rehti hai,
Meray din raat main ab bhi tumhari sham rehti hai,
Meray lafzoon ki har mala tumharay naam rehti hai,
Tumhain kis nay kaha pagli tumhain main yaad
karta honâ
Purani baat hai jo log aksar gungunatay hain,
Unhain hum yaad kartay hain jinhain hum bhool
jatay hain,
Ajab pagal si larki hai….
Meri masrofiyat dekho,
Tumhain dil say bhulaon to tumhari yaad aye na,
Tumhain dil say bhulanay ki mujhe fursat nahi milti,
Aur is masrof jewan main tumhary khat ka aik jumla
Tumhain main yaad ati hon? Meri chahat ki
shiddat main kami honay nahi daita,
Bht retain jagata hai mujhe sonay nahi daita,
Agli baar khat main yeh jumla nahi likhna,
Ajab pagal si larki hai..
Mujhe bhi yeh likhti hai mujhe tum yaad kartay ho?
Tumhain main yaad ati hon?? …
Wednesday, July 15, 2009
Shayari Collection
1) Ae palak tu band ho ja,
khawabon mein unki surat to nazar ayegi,
intezar toh subah dubara shuru hoga,
kam se kam raat to khushi sekat jayegi..
2) Jis ki
Talash hai
Usko pata
bhi nahi,
Hamari Chahat
ko Usne
samja hi nahi.
Hum puchhte
rahe ki
Kya
Tumhe
Humse
Pyaar hai
aur
Woh kehte
rahe ki
Unhe
pata hi nahi.
3) Hasi ne labon pe thirikna chod diya hai, khwabon
ne palkon pe aana
chod diya hai,nahi aati ab toh hichkiya bhi shayad aap ne bhi yaad
karna chod diya hai....
4) utray jo zindagi teri gehraiyon mai hum.
Mehfil mai reh ke bhi rahe tanhaiyon mai hum.
Deewangi nahi to or kya kahae?
Insaan dhoundtay rahay parchaiyon mai hum
5) Sawaal paani ka nahin, pyaas ka hai.
Sawaal maut ka nahin, saans ka hai.
Dost to duniya mein bahut hai magar,
Sawaal dosti ka nahin VISHWAS ka hai..
6) Kafi hai husn dil ko behlane ke liye,Mohabbat
karlo dil ko dukhane
ke liye. Chahe pade gam se vasta,Ek dost rakhna sab
gamo ko bhulane
ke liye....
-------------------------------------------------------------
Toote dil ko dobara lagana hamein accha nahin
Toote dil ko dobara lagana hamein accha nahin
lagta
Kissi ko palkoan pe bitha kar girana hamein accha
nahin lagta
Ek baar keh diya ki hum to sirf aapke hai lekin
Baar baar humko yeh batana accha nahin lagta
------------ --------- --------- --------- --------- --------- ----
Bekhudi ki zindagi hum jiya nahin karte
Jaam dusro se cheen kar hum piya nahin karte
Unko mohabbat hai to aa kar izhaar karein
Pichaa hum kisi ka kiya nahin karte
------------ --------- --------- --------- --------- -------
Mandir mein jaake pooja kar leta hu
Masjid mein jaake namaaz pad leta hu
Kahi insaan se khuda na ban jaao
Isliye thoda sa pap bhi kar leta hu
------------ --------- --------- --------- --------- --------- --
Ishq hona bhi muqadar ki baat hoti hai,
Mehboob ke bina zindagi tanhaai mein roti hai,
Jeene lagte hein hum chori chori is jahaan mein,
Unki chaahat hi is dard-e-dil ki dawa hoti hai.
------------ --------- --------- --------- --------- --------- -------
Dil do kisi ek ko,
Do magar kisi nek ko,
Dil koi kaanch ka tukda nahi,
Jo bech Hum na hote to,
Kisi aur ke charche hote,
Na hota jo yeh ishq,
To koi aur gham ke bahaane hote...
Dil jalaane ke mausam mein,
Khub jale hain hum,
Jo hota koi sahara,
To hum kisike sahaare kaise hote.
do har ek ko
.------------ --------- --------- --------- --------- --------- -----
Thursday, July 9, 2009
Subscribe to:
Comments (Atom)























