Friday, May 22, 2009

Dard Shayari

yeh umeed ...................
Aa tu he daud k lipat ja seene say humare,
Phir ishara iss taraf say hoga,yeh umeed na rakh,
Ki,ik baar mohabat ki beekh maangi thi tujh say,
Baar baar sar mera jhukega, yeh umeed na rakh,
Na acha kiya tune iss dil ko thukra ker,
Tujhko na koi thukrayega, yeh umeed na rakh,
Bohat he tadpaya gam ne tere humko magar,
Hum yun ghut ghut ker mar jayenge yeh umeed na rakh.
Jaane Kyun ?
Taraste they jo milne ko humse kabhi,
Aaj woh kyun mere saaye se katrate hain,
Hum bhi wahi hain dil bhi wahi hai,
Na jane kyun log badal jate hain.
Wafaa...........
Wafa ka naam na lo yaaro, wafa dil ko dukhati hai
Wafa ka naam lete hi ek bewafa ki yaad aati hai!!!
Har Aasuno Mein........
Har aasunoN mein jo baha vo dard tumhara hai,
Humne kiya pyar jo tumse to qasoor humara hai,
Dil-a-naadan ghalti kar baatha,
Ek bewafa sa dil laga baatha.
Tumhara Jutha Pyar..............
Tumhara jutha pyar ko hamari zindagi samja,
Tumhe apna dil deke tumhara dard liya,
Tumhare khel ko me samaj na saka,
Tumko bewafa kehne ka kabil na raha...

Thursday, May 14, 2009

Hindi English Shayari Collection

Hindi Shyari




मेरी गली से वो जब भी गुजरता होगा


मोड़ पे जाके कुछ देर ठहरता होगा


भूल जाना मुझको इतना आसान तो न होगा


दिल मैं कुछटूट के तो बिखरता होगा


साथ देखे थे जो उन ख्वाबों का कारवा


गुबा बनकर उसकी आँखों में उभरता होगा


जब चूमता होगा उसे बांहों में लेकर


प्यार बदन में उसके सिहरता होगा


जुल्फों को मेरी उँगलियाँ दुलारती होंगी


सामनेआईने के वो जब भी संवारता होगा


दर्द जब भी देता होगा ये संगदिल ज़माना


वो बेवफा इस “मन” को याद करता होंगा






Larkiyaan Bewafaa nahi hoti




Wo to majborioon main lipti hain


Apney shiddat bharey khyaloon main


Apney ander chhupi ek aurat main


Wo hamesha hi darti rehti hain


Na to jeeti hain na to marti hain


Larkiyaan bewafaa nahi hoti Per


Hamesha hi darti rehti hain


Apne reeti or rawajoon se


Any waley naye azaboon se


Zardurat main khily ghulaboon se


Pyaar kerti hain or chhupati hain


Larkiyaan Bewafaa nahi hoti


Kyuon ki majborioon main lepti hain


Or her lamha darti rehti hain Apney pyaar se apney saye se


Apney rishton se dil ki dharkan se


Apni khowahish se apni kushioon se


Larkiyaan Bewafaa nahi hoti !!!






Tujhe bhoolkar bhi na bhool payenge hum,




Tujhe bhoolkar bhi na bhool payenge hum,


Bas yahi ek wada nibha payenge hum.


Mita denge khud ko bhi jahan se lekin,


Tera naam dil se na mita payenge hum.




Is kadar hum yaar ko manane nikle,


Uski chahat ke hum deewane nikle,


Jab bhi use dil ka haal batana chaha,


To uske hothon se waqt na hone ke bahane nikle.




Ummido ki shama dil me mat jalana,


is jahan se alag duniya mat basana,


aaj bas mood me tha to SMS kar diya,


par roj intezar me palke mat bichana!




Dil si cheez hai, dene ko hai de dengay


Magar koi tumsa qabeel bhi to ho,


Hum to jaan de kay bhi khush hongay


Magar koi tumsa qateel bhi to ho.




Keep follow for More
Tarun